Lagi hai bheed aj kuch aisi mai-khane mein
Lagta hai gam bahut hai zamane mein
Hai dard ke do ghoont har kahani mein
Aur maut ke do ghoont har paimane mein...
Lagta hai gam bahut hai zamane mein
Hai dard ke do ghoont har kahani mein
Aur maut ke do ghoont har paimane mein...
18 comments:
Waah waah !!
--
ek gaana hai.. suna hi hoga aapne !!
"Barsaat ke mausam me...
tanhaai ke aalam me..
main ghar se nikal aaya..
botal bhi utha laaya...
abhi jindaa hoon.. to Jee lene do..
bhari barsaat me pee lene do "
==
Dard-e-ghum bhara hai aapke is dewaane main,
Baat ko keh deta hoon apne is fasaane main,
Nahiin hai kuch dum aapke bahane main,
Aata hai kya mazaa aapko hamein yoon sataane main.
@spammy
subhan allah!
@anjan ji
main itni bhi zalim nahi ki deewanon ko sataoon
par apni majbooriyan main apko kaise bataoon
Fasaanon mein bayan har baat samajh to sakti hoon
Par har dard ki dawa nahi hoti, ye kaise samjhaoon
dard ki dawa chahta hi kaun hai?
khatakta jo mujhe woh tumhara yeh maun hai
dil jo tumhara hai woh no-entry zone hai
kya 9811815XXX tumhara hi phone hai?
jo sukoon dard main hain, shayyad woh sukoon khud isrf sukoon main bhi nahin,
woh zindagi hi kya jisme pyaar na ho, woh dil hi kya jisme dard naa ho ....
waah! from sex to social awareness.. good good
to tell the truth, yeh post mere ko khaas samajh nahi aaya.
but i agree with Mani ki jo transition hai woh achhi hai. i hope the next post is something that makes sense to me cause this one certainly did not
ek sher main bhi likhta hoon:-0-----
wo aaye meri kabra pe,
diya bujha ke chal diye
baaki jo tel bacha tha,
sar pe laga ke chal diye
@ayush nayarrer
wah wah ayush mazaa aa gaya!
seriously!
(abay jiska tha usko courtesy to de deta!! anpad)
waah waah waah waah .
ahem !! few posts back in my blog u said .... tht i wrote abt pain & sorrow only ... and now ur in pain .. i mean ur writing abt it . . so theres definitely something ..
wheres the happy taru . Trees alwayz give ..... and they dont SIGH ...
@anjan ji
apni to ye adat hai hum chup nahi rehte
fir bhi apko ye shikayat hai hum kuch nahi kehte?
baat zara si hai ki dawa nahi hoti har dard ki
aur har dard par aansu aankh se nahi behte
@arpz
well said
wah
indeed pyar zindagi, dard aur dil ka bahut gehra rishta hai
@banner
**applause**
:)
@ck
!!
@ayush
hmm..:)
good one
@anuj
well, i just write wat i feel like thats it
pain ho ya happiness sensuous ho ya gross..if i feel like i'll write it
Bayvukoof hain jo dard-o-gham
Bhulane Mai-Khaane jaate hain;
Koi sharaab aise nahee jisme
dard-o-gham doob paate hain;
Sharaab se to sabhi dard
Sur-durd ban jaate hain;
Sharaabiyon ke vo dard-o-gham
hee hangover kahlaate hain!
@prad
aap bhi aa jao
@pareshaan ji
kya bat kahi hai, waahh...
Nasha hum karte hain ilzaam sharab pe ate hai
kasoor sharab ka nahi unka hai jinka chehra har jaam mein nazar aata hai
Har bood mein gam ghol ke pee rahe hain hum
aur har boond hume ghol ka piye a rahi hai...
Jo baatein kahi nahi jati, woh zyada gehri hoti hain
Dil tabhi baat karte hain, jab zubaan chup hoti hai...
Baatein to aankhen har dam bahut karti hain
Kami hai to bas sunne wali nazar ki
Mehfil ka rang to jam hi raha tha yahan
Bas aapke aane hi ki kami thi!!
you will find something intresting on my blog also...[:)]
i did not write it though...a very good friend of mine wrote it.
oye taru!!!
i'm not pretty sure bout ur "sher" but yeh itne saare ek sath padh ke mazaa aa gaya!!!!
Kuchh nazmein khamoshi pe
aur kuchh nazmein sharaab pe;
Kuchh nazmein maashooka pe
Aur kuchh nazmein janaab pe;
Is Sher-o-shaayiri ne kiya lajawaab
Hain hume naaz aap pe
Dil-e-Pareshaan aaj hai mast
Parh ke alfaaz aap ke.
@ravi
yeah have read it..its amazing
@luke
exactly
good is good wen smthn is bad
@tlc
wah wah
mujh nahi pata tha apko hindi shayari bhi ati hai!
@archie!
i['m glad
@pareshan
dil-e-pareshan ke pareshan dil mein
lagta hai kuch nazmon ne muskan faila di
aapne hamari mehfil mein aake
is sham ki dekho shobha bada di
jo labon ne kaha labzon ke sahare
aankhon ne pada nazron ke sahare
jo nahe yahan woh jazbaat the
kuch hamare kuch tumhare
@ravi
yeah have read it..its amazing
@luke
exactly
good is good wen smthn is bad
@tlc
wah wah
mujh nahi pata tha apko hindi shayari bhi ati hai!
@archie!
i['m glad
@pareshan
dil-e-pareshan ke pareshan dil mein
lagta hai kuch nazmon ne muskan faila di
aapne hamari mehfil mein aake
is sham ki dekho shobha bada di
jo labon ne kaha labzon ke sahare
aankhon ne pada nazron ke sahare
jo nahe yahan woh jazbaat the
kuch hamare kuch tumhare
Post a Comment