Saturday, October 01, 2005

When u're happy and u know it...

....write something!

That's my mantra.........
(The first half of that condition is not compulsory!)
Most probably, like most other things, most of you will not understand this. Skip it.
For others who wanna attempt reading it, it's an absolute sponti, and very pathetic. Skip it.

Hazaaron khwahishon mein khoyi sachai ki kasam
Zindagi jeene ki bas ek nanhi si khwahish ka naam hai
Na maano to har sach khwabon se zyada jhoota hai
Maano to har khwab apne ap mein ek jahan hai
Kabhi kabhi namumkin sa lagta hai astitva jiska
Khud se door rakh ke dekho to lagega kitni asaan hai
Haan khud ko khud se door kar rahi hoon main
Lo, ek bar fir, mere labon pe wahi muskaan hai
Pal do pal ka andhera hai, par roshni ki talash hai
Fir bhi lagta hai is talash ka, na aagaz na hi anjaam hai
Katra katra karke har khwahish kho rahi hai
Sachai ab bhi zinda hai, shayad zindagi isi ka naam hai
Ek aawaz ke sahare....forget it, somethings are best incomplete.

IGNORE ME






8 comments:

Kaala Kavva said...

aye haye!
kitni chape hai!!!!!
complete to kar deti anpad ladki!

2 mint pehle kehti hai mai sad hu
ab kehi hai mai happy hu

decide to kar le yaar!!!

anyways

RELAX :)

radiohead said...

well u r scaring the hell outa me. Ur such a good writer when it comes to english ...... and now u arent any bad in HINDI as well ..... ur in IIT as well ...

U seem to be a repository of talents .. tell me all ur talents now ... so tht i m not surprised to death ...

mIncl said...

you know, you can write better than that. teach me!

VERTIGO said...

Hazaaron khwahishon mein khoyi sachai ki kasam
Zindagi jeene ki bas ek nanhi si khwahish ka naam hai
Na maano to har sach khwabon se zyada jhoota hai
Maano to har khwab apne ap mein ek jahan hai
Kabhi kabhi namumkin sa lagta hai astitva jiska
Khud se door rakh ke dekho to lagega kitni asaan hai
Haan khud ko khud se door kar rahi hoon main
Lo, ek bar fir, mere labon pe wahi muskaan hai
Pal do pal ka andhera hai, par roshni ki talash hai
Fir bhi lagta hai is talash ka, na aagaz na hi anjaam hai
Katra katra karke har khwahish kho rahi hai
Sachai ab bhi zinda hai, shayad zindagi isi ka naam hai
Ek aawaz ke sahare....
Will take the liberty of completing your creation :D
Ek awaz ke sahare ummid kayam hai,
Is jahannoom mein jannat ki chahat kayam hai,
Chahe, jo dekha sab dhokha tha,
Chahe, jo socha woh fareb tha,
Par duniya ab bhi haseen hai,
Yeh jahan ab bhi razdaar hai,
Arey jiine ka naam hai zindagi,
Aur dene ka naam hi hai bandagi,
To dene ke liye ji aur jiine ke liye de,
Aur life mein itna load na le.:D

Anonymous said...

ok i skipped it :D

~Voice

Prasad Narulkar said...

i dunno abt others....but i can totally relate to it!
thnks for such a beautiful poem!
*hugs*

Kaala Kavva said...

and prad charges me of PJing.

Unknown said...
This comment has been removed by a blog administrator.