Thursday, May 04, 2006

Is tarah pehron tujhe sochti rehti hoon main
Meri har saans tere naam likhi ho jaise
Jaagte jaagte ek umra kati ho jaise
Jaan baaki hai magar, saans thami ho jaise.

Zindagi tez, bahut tez chali ho jaise.

4 comments:

Zyborg said...

ruk jaaon ek pal ke liye
tham jaaye sab kuch mere liye
saans le sakoon, sukoon se main
tere naam ka awahan na karoon main
kuch shan bas apne main lipt ho jaoon
apne ko tere bina dekh sakoon main
kuch lamhon ke liye jee sakoon main
apne astitva ko samajh sakoon main
aur fir ik jwala sa ujagar ho kar
tujhe apne aap main sanjo sakoon main.

Phoenix said...

koshish ki thi thamne ki magar
zindagi ka daman chhootne laga
tera bin jeene ki sochte hi
zindagi ka ant nazar aane laga
khud ke astitva ko dhondne ki koshish
ki to hua mujhko ye ehsaas
tujhmein hi kahin llupt hai mera astitva
main tab tak hoon, jab tak too hai mere paas
khud mein tujhko kaise basaoon
jab tujh mein hi basi hoon sadiyon se main
tera naam ene ke liye rukoon main kaise
jab tera naam liye bgair saans leti nahi hoon main
sukoon ka arth tera naam ban gaya hai
tere naam ka arth sukoon ban chala hai
tu mere jeewan ka saar bhi saarthi bhi
tu zinda rehne ka junoon ban chala hai

Anonymous said...

ek lamhe mein simat aaya sadiyon ka safar

zindagi tez...bahut tez... chali ho jaise

koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise...

Phoenix said...

:-)

Yes!
It's my favourite sng...
i listen to it repeatedly often, especially when on a low mode, and keep quoting/posting from it