Woh jo mujh mein se hi nikal kar mujh mein hi sama jati hai
woh ladki bahut yaad aati hai
woh jhapkaati hai palak, fir apni hi adaa par sharmaati hai
woh pagli bahut tadpati hai
woh shaksiyat khurafati, har subah ankhon mein utar aati hai
raat hote hi dobara gayab ho jati hai
tanhai ke andheron mein, andhere ki tanhaiyon mein
woh jo apni khamoshi se shor machati hai
woh ladki bahut yaad aati hai
woh jo man mein aaye woh karti hai bina soche
woh jo chahe thukrati hai
uski isi himmat se darti hai duniya sari
woh fir bhi bahut ghabrati hai
woh ansh hai mera, woh meri pechchan hai
fir bhi mujhse nazar churati hai
woh rooh hai meri, par mujhse hi naaraz hai
woh ladki bahut yaad ati hai
woh ladki bahut yaad aati hai
woh jhapkaati hai palak, fir apni hi adaa par sharmaati hai
woh pagli bahut tadpati hai
woh shaksiyat khurafati, har subah ankhon mein utar aati hai
raat hote hi dobara gayab ho jati hai
tanhai ke andheron mein, andhere ki tanhaiyon mein
woh jo apni khamoshi se shor machati hai
woh ladki bahut yaad aati hai
woh jo man mein aaye woh karti hai bina soche
woh jo chahe thukrati hai
uski isi himmat se darti hai duniya sari
woh fir bhi bahut ghabrati hai
woh ansh hai mera, woh meri pechchan hai
fir bhi mujhse nazar churati hai
woh rooh hai meri, par mujhse hi naaraz hai
woh ladki bahut yaad ati hai
8 comments:
Pehli do line se laga kuchh love song types hai, but 'shaksiyat khurafati' was kinda shocking in that context, and 'raat hote hi gaayab hona' was too un-romantic. Tab samajh me aaya ye to Madam Alter Ego aa gayi.n!
PS: Are you possessed? :P
how many people are there in you...we never quite tend to know how many "me's" constitute he "I"..now what does this line mean...hehe even i coudlnt get that :P
PS: you for was everyone in general :)..made me smile this post of yours and to top it all Vikram's comment :D
Good One :-)
vo jo blog padhne ata tha, vo jo grin types muskurata tha,
vo ladka jo vaat lagata tha, vo jo jam ke bhav khata tha,
vo jo ladkiyon se sharmata tha, vo jo mandir tak jata tha (:O)
vo ladka jo roz nahata tha, vo jo kapde bhi wash karata tha,
vo ladka jo ulaj gaya duniya ke jaal main,
vo jo mara gaya is paapi sansaar main,
vo jo kho kya jeevan ke andhakar main,
vo .. vo ..
vo banda bada bond hai .. bt yaad to ata hi hai .. afterall ..
(waah waah ke lie thnx)
Nice lines. Tanhai ke andhere and andhere ki tanhayian...lovely swapping of concepts there.
PS: Reminds me of the song Wo ladki bahut yaad aati hai, from some Akshay Kumar movie (was it Qayamat?)
Roomie? Sister? Pet?
Knowing you, it could also mean "missing yourself". I hope I never do that...but it was well-written, especially the last paragraph
Otherwise it's lesbian stuff O_O
Nice nice! Kavyitri sahiba :)
its a nice one...
ur attempt at hindi..is sarahniya (appreciable)
Post a Comment