Benaqab na karo yoon har labz ko mere
Main darti hoon kahin sach jhalak na jaye
Na kuredo mere sookhe hue zakhmon ko koi
Kahin patthar se paani chhalak na jaye
Sau-sau tukde kar ke har sach ke
Har jhooth mein ek tukda chhupaya hai
Na roshni itni dalo ki jhooth badal le rang apna
Ye tukde duniya ki nazar mein khatak na jaye
10 comments:
Beautiful.
Just heard this a while back...
Ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
Ya chhalakti hui aankhon ko pathar kar de
Tujhko dekha nahi mehsoos kiya hai maine
Aa kisi din mere ehsaas ko paikar (reality) kar de...
Aur kuch bhi mujhe darkaar nahi hai lekin
Meri chaadar ko mere pairon ke baraabar kar de...
Sometimes I try to understand what it means, and when I do succeed, they are always revealing in nature.
Took me 20 minutes to get through that. And the only thing that comes to mind is, sach ya jhoot, jo sahi hai woh sahi hai :p
i 've tried to conceal facts in life ... but in the end u just run out .... isliye jo sach hai wo sach hai ...
Khatkega to duniya ko zaroor hi mohtarma
For it's much like mixing non-veg in veg.
Jhooth mein sach ke tukde, hey bhagwan,
Never before did I see such a sausage!
Bahki bahki si baatein karte ho Vikram..
It must be your last week in college.
..
Sorry.
..
:)
All I could get from this is :
Bahut aansu chupae baithe hain is muskaan k peeche,
Darte hain ki wo aansuo ka pyala foot na jae,
Ye jo muskaan hai choot na jae,
And On a light note:
Dil mai jo geet hai gunguna lijie,
Phir Dekhie,
Dunia k dukho ko bhula dijie,
Phir Dekhie.. !!
err... Jhoot!
:)
ps. I did not understand anything :)
:)))
good one!!!
u really play with wrds beautifuullly:))
Kis ki hai? Ye nahi bataya....
Bhai kaun ho tum, likhna aata hai tumhe. Dekho the way you have created beauty;
"Na kuredo.... kahin pathar se paani chhalak na jaye"- so powerful and beautiful.
"Sau sau tukde... har jhooth me ek tukda chhupaya hai" - sensitively captured the complex emotions of fear, guilt, approbation and expectation in few words.
Post a Comment