Thursday, September 08, 2011

Smriti

Yoon to tumhein bhool gaye hain hum
Kayi kayi mahine beet jate hain
bina tumhari yad ke
Par achanak kisi kisi raat
khud ko fir usi mod pe paate hain
Jahan tum bichhad gaye the
Aur fir wahi 'kyon' yaad aata hai
Fir wahi dard jaag jaata hai
Khud ko fir se solah ka paate hain
Kaaran dhoond dhoond khud ko samjhate hain
Fir wahi ladakpan yaad aata hai
Ab tak us dosti se naata hai
Kyon khoya ye jaane ne jaane kabhi
Kya khoya ye dil tumse behtar jaanta hai


Random thoughts today

Maana waqt nahi hai tumhare paas humein dene ko
Humne khud ko tumhe diya hai, humein to apna lo
Waqt khud hi tham jayega us lamhe ko niharne.

---------------------------------------

Mere lafzon pe na jao, zubaan pe bas nahi chalta
Dil ko bhi sach kaboolne ka haq nahi diya hai
Kaash tum nazron ki bhasha samajh jate.


------------------------------------


Chahkar bhi tumhe chahne ki chahat hi karte reh gaye
Na chahkar bhi chahat ko bhulana chahte hain ab
Kash hamari chahat tumhein yoon anchahee na lagti


-----------------------------------


Woh waqt kuch aur tha, masoomiyat mein dil diya tha
Tootkar fir sambhla karte the tere pyar ke behlawe mein
Ye waqt kuch aur hai, hum tukdon mein pyar pana seekh gaye.