Monday, October 17, 2011

Ink

Aasaan nahi tha khud apne dil ko todna
Aur har zarre se tumhara ansh nichodna
Fir sametna har tukde ko, lahoo ko
Dhona, sukhana, fir se jodna
Ek naya sa dil banaya hai magar
Dhadakna is ko sikhaayein kaise
Ye khaali dil fir se bharwayein kaise
Tumhare naam ki syaahi mitayein kaise
Jannat-e-khwab humein na mila to kya
Aansoo-on se bheega aanchal hi sahi
Mohabbat mein sab kuch lutane wale
Hum pehle bhi na the aakhiri bhi nahi

4 comments:

Brajmohan Kumar said...

Lovely one. Trying to continue with my own lines...

magar tu jaate-jaate ye to bata jaata,
kis se kahen dil ki wo baaten hum
jo rah gayi kuchh kahi, kuchh ankahi..

madhvendra said...

nice one and man it is tough to spell aansoo-on in hindi, good one :)

Kunal said...

"Mohabbat mein sab kuch lutane wale..
Hum pehle bhi na the aakhiri bhi nahi "

bas...jeet gayi aap ye keh ke!!! mast!!

Divesh said...

the last two lines are wonderful.

However, I think "sab kuch" is debatable.