Saturday, December 22, 2007

Aabhas-shoonya

Aaj andherein kyon shaant hain

Sehmi si kyon raat hai

Naa neend na koi khyal hai

Is raat kii kuch to baat hai


Sparsh nirmam sa lagta hai

Sunn sa har vishwas hai

Bhatak gaye hain raah se itna

Ki bas kho jane ka ehsaas hai

Dard nahi ichha nahi

Na disha na manzil na khwab

Na darr hai na hi khushi

Na bhoot na bhavishya na aaj


Na azaad hoon na bandhan mein kisi

Na zinda hoon na maut ke paas

Kuchh hai to bas ek shoonya

Bas ye pal, aur iske beetne ka aabhas...


1 comment:

Vik said...

Raat hai, thand hai,
aur yun to rajaai bhi hai,
Par karwatein badalkar
tu uske upar so gayi hai..

[Sleep well..tc. :P]