Wednesday, April 30, 2008

Teri nafraton ki gehrayi se dar nahi lagta
Zindagi tujhe bahut shiddat se jiya hai...

9 comments:

Chakoli said...

Waah waah bahut khoob!!!!:-)))

Divesh said...

Gahraaiyaan nafraton mein kab hua karti hain
Tune upar ki ek parat hata kar to dekha hota

Zindagi :)

Anonymous said...

Darr lagta hai toh bas ek yehi ehsaas se
Yeh nafrat ka kohra teri mohabbat ko hi na chupa de

:)

Vik said...

Yun to shayari ka nahiin unko shauk itna,
Khoob likhte hain.. jab bhi likhte hain!
........

Liked Divesh's couplet also. :)

Phoenix said...

[chakoli]
Dhanyawaad.

[divesh]
Nafrat gehri mohabbat oonchi hua karti hai
ye fark magar girne ke baad hi naar aata hai
Paraton mein chhupa kar rakhte hain zindagi ko
Badi muddat baad kisiko itna bharosa diya hai

Phoenix said...

[d]
Bahut achhe. :)

Yoon nafrat ke dhoke mein gumraah na kar mujhe
Kyta karein, teri mohabbat ki gehrai se dar lagta hai...

[vik]
Shukriya ki aapne hamari do panktiyaan padi
aage ki char sun lete to na jane kya kehte...

vibhav said...

...Ye jazba tu lautaegi yeh magar nahi lagta,
phir bhi ek intezaar bahut muddat se kiya hai.

Divesh said...

@Phoenix

Chalo maana gehri hai nafrat par ilzaam kyun zindagi pe aaya hai
Kya aapne Newton's third law of motion nahi padha hai :P :P :D

last 2 lines mujhe samajh nahi aayi, btw .. more so, ye ki how do they connect to the first two?

@Vik

Thanks. That was encouraging :)

Phoenix said...

[vibhav]
Zindagi ko jo bhi do, wapas lautati zaroor hai
Ek itna hi to aitbaar hai is bewafa ka

[divesh]
:) :P

Itna kuch samajhne ko nhi tha..smthng like...the depth of hatred n the greatness of love are truly felt only from within, hence we put covers n layers on life and its realities, for after long we've dared to trust it enough to jump in.