Kuch tumhaare, kuch hamare, kuch dard benaam sahi
Dard baantana zindagi ki fikrat hai, zindagi par ilzaam nahi
*************************
Pehli aandhi mein ghar bikhra, doosri mein khwab lut gaye
Teesra to toofan tha, jeene ki wajah bhi le gaya
Khudgarz lootera saanson ka, aakhir kaar aaya to magar
Bin kuch liye bas hum ko khud ki tabaahi ka ilzaam de gaya
2 comments:
Beautiful!! :)
Woh sitamghar hi sahi dekh ke usko `Saabir',
Shukar hai is dil-e-bimaar ko aaraam to hai.
-Chaliye Saabir sahab ki baat samajhte huye hum bhi zindgi ke against apna case wapas lete hain.
Post a Comment